About This Blog

Monday, September 13, 2010

Mohabbat, Ishq, Aur Energy


(Archiving again!)


Mohabbat kia jazba hai? ishq ki haqeeqat kia hai? kia ishq jis tarah shakal tabdeel kar sakta hai, bilkul isi tarah kia kabhi khatum bhi ho sakta hai? ba'tadreej ya achanak?

agr nahi, tou kia ishq energy ki tarah hai, which can change forms but can never be zero?

aur agr aisa hai tou yeh yaqeenun ghaur talab baat hai kion kay physics kehti hai kay energy kainaat kay qayyaam ki waja, iski baqa ki zamanat hai, aur metaphysics kehti hai kay ishq wo aafaqi quwwat hai jo Khaliq aur makhlooq kay bahmi taa'luq kay is tawwazun ko qaim rakhay hoay hai jisko hum qainaat kehtay hain.

'Absolute' wo iste'lah hai jiska absolute matlab bayyaan karna bohat mushkil hai, laikin absolute ishq, Khaliq aur makhlooq kay iss bahmi taa'luq mein woh marhala hai jahan tasleem o raza apni mairaaj par hotay hain. waqifaan-e-Hallaaj kay liay yay 'mun o toi' ki yakjaee ka muqaam hai, aur naaqee'dan--e-hallaaj kay liay yay Maa'bood ki bandagi ko apna tareeq-e-zeest bana lainay ka naam hai . har do soorat mein yey wo muqqaam hai jahan inssan apni hasti ko mita kar fana fillah ho jaey, zindagi sirf ehkaam-e-Illahi aur mush'yeet-e-Illahi kay taab'ay ho jaey. aur banda, bus razi ba'raza. farishton ki tarah!

laikin farishton kay pass ishq kay illawa aur koi chaara hi nahi. saraapa tasleem! saraapa ataa'at! aisay mein jab wo khaaki jiski sarisht mein muham'joee ho, jis kay khameer mein hi baaghiyaana justajoo ho, jab wo tasleem o raza main wajood-e-noor ki hamsari karnay lagay, tou har tarah ki internal resistance subdue kar lainay kay baa'is uss say aik quwwat radiate hona shuroo ho jati hai. aur barhtay barhtay aik azeem gravitational pull bun jati hai.

yeh ishq ki quwwat hai.

ishq ki energy!




PS: Have you ever noticed the eyes of one in love?



(originally written in 2008)

No comments: