About This Blog

Wednesday, September 22, 2010

Ye Agar Sharaar Hota!

The following ghazal by Ghalib has been rendered such powerful vocals as that of Begyum Akhtar, Ustad Amanat Ali Khan, Abida Parveen, Jagjit, Chitra, Tina Sani, etc. However, my favourite version is that by Habib Wali Muhammad. The lilt in his voice is just the right thing to have happened to this ghazal, a jaam do aatisha!


ye na thee hamaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeetay rehtay yahi intezaar hota

terey waadey par jiyey ham to ye jaan jhoot jaanaa
ke khushee se mar na jaatay agar eitabaar hota

teree naazukee se jaana ke bandha tha ehed_booda 
kabhee tu na tor sakta agar usstuwaar hota

koi mere dil se poochay terey teer-e-neemkash ko
ye khalish kahaan se hoti jo jigar ke paar hota

ye kahaan ki dosti hai ke banay hain dost naaseh
koi chaarasaaz hota, koi ghamgusaar hota

rag-e-sang se tapakta wo lahu ke phir na thamta
jise gham samajh rahay ho, ye agar sharaar hota

gham agarche jaan_gulis hai, per kahaan bachain ke dil hai
gham-e-ishq gar na hota, gham-e-rozgaar hota

kahoon kis se main ke kya hai, shab-e-gham buri bala hai
mujhay kya bura tha marna agar ek baar hota 

huay mar ke ham jo ruswa, hue kyon na gharq-e-dariya 
na kabhi janaaza uthata, na kaheen mazaar hota 

usay kaun dekh sakta ke yagaana hai wo yaktaa 
jo dooee ki boo bhee hotee to kaheen do chaar hota

ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaan 'Ghalib'! 
tujhay ham walee samajhate, jo na baada_khwaar hota






























4 comments:

Anonymous said...

Such a great ghazal this is. I heard the Jagjit version of this ghazal and it was superb. The lyrics sort of penetrate in you. "Hamain kya bura tha marna, agar aik baar hota"... Too good (Y)

leenah. said...

True. Ghazal is bewitching. I couldnt pick one favourite , but I guess this is what completely grips me..

"rag-e-sang se tapakta wo lahu ke phir na thamta
jise gham samajh rahay ho, ye agar sharaar hota"

Anonymous said...

Ghalib is still relevant, he always will!
Thanks for sharing this gem of a ghazal! :)

leenah. said...

Ghalib is a maestro. You are right, he stays Ghalib! :)

Pleasure!