About This Blog

Thursday, February 17, 2011

(zaroori nahi kay) Raqeeb Say




Aa keh wabasta hain us husn ki yadain tujh say
Jis nay is dil ko pari khana bana rakha tha
Jis ki ulfat main bhula rakhi thi dunya hum nay
Deher ko deher ka afsana bana rakha tha
Aashna hain teray qadmon say wo rahain jin per
Us ki madhosh jawani nay inayat ki hai
Karwan guzray hain jin say usi ra’nai kay
Jis ki in aankhon nay bay-sodd ibadat ki hai
Tujh say kheli hain wo mehboob hawain jin main
Us kay malboos ki afsurda mehek baqi hai
Tujh pe bhi barsa hai us baam say mahtaab ka noor
Jis main beeti hui raaton ki kasak baqi hai
Tu nay dekhi hai wo peshani, wo rukhsar, wo hont
Zindagi jin kay tasawur main luta di hum nay
Tujh pe uthi hain wo khoi hui sahir aankhain
Tujh ko maloom hai kyun umr ganwa di hum nay
Hum pe mushtarka hai ehsaan-e-ghum ulfat kay
Itnay ehsaan keh ginwaoon to ginwa na sakoon
Hum nay is ishq main kia khoya hai kia seekha hai
Juz teray aur ko samjhaoon to samjha na sakoon
Aajzi seekhi, ghareebon ki himayat seekhi
Yaas-o-harmaan kay, dukh kay maani seekhay
Zair daston kay masaib ko samajhna seekha
Sard aahon kay, rukh-e-zard kay maani seekhay
Jub kaheen beth kay rotay hain wo be-kus jin kay
Ashk aankhon main bilaktay huay so jatay hain
Na tawan kay niwalon pe jhapat’tay hain uqaab
Baazo tolay huay mandlatay huay aatay hain
Jub kahi bikta hai baazar main mazdoor ka gosht
Shahrahon pe ghareebon ka lahoo behta hai
Aag si seenay main reh reh kay ubalti hai na pooch
Apnay dil pe mujhay qaboo hi nahin rehta hai


Faiz





No comments: