About This Blog

Saturday, November 5, 2011

Eureka


Today, a little while back I cam across this:

“Every deep thinker is more afraid of being understood than of being misunderstood.” 
― Friedrich Nietzsche

And was suddenly reminded of the following passage I wrote quite a couple of years back. Thought of sharing it here...




Woh tanha hay. Ye woh hamaisha say jan'ti thi. Magar woh tanha rehna chahta hay, ye woh nahi jan'ti thi. Isko lagta tha uskay ander ka genius, misunderstood honay kay khauf kay ba'is usay tanha rehnay par majboor karta hay. 
Bhala aisay kaisay ho sakta hay kay koi jeeta jaagta insaan, apnay jaisay baqi insaano say, unki qurbat say duur bhaagay? 
Laikin woh zindagi kay bohat say pehlo nahi jan'ti thi, aur ye bhi shayad unhi main say tha. 

Apni chotti si qainaat main us ne loagon ki aik prototype bana rakhi thi jis main essentially har koi acha hi tha, baqi loagon say lagao rakhnay wala. Haan oonch neech to har jagah hi hoti hay, chuna'chay woh apni iss qainaat main bhi oonch neech honay par waqti taur par pareshaan honay kay baad phir say apnay prototype par eimaan lay aati thi. 
She just couldn't be any other way. Magar jaisay mein ne pehlay bataya, zindagi kay baray main bohat kuch aisa tha jo woh nahi jan'ti thi.


Woh tanha tha. Magar iss liay nahi kay woh tanhaii pasand tha. Iss liay bhi nahi kay uska dil zindagi say, zindagi ki bheeR bhaaR say uchaat tha. Magar iss liay kion kay woh tanha rehna chahta tha. Uskay ander ka genius ussay tanha rehnay par majboor karta tha. Nahi, iss liay nahi kay woh misunderstood honay say kha'if tha. Balkay iss liay kay woh apna ye bharam qaa'im rakhna chahta tha kay baqi dunya, loag, uski genius ki gird bhi nahi pa saktay. Woh issay kabhi samajh nahi saktay. Usko ye dar nahi tha kay loag usay different samajh kar reject na kar dain. Uska khauf to bilkul alag tha; Ye kay loag kaheen usay apnay jaisa, apni hi tarah ka na samajh lain. Unhi ki tarah ka, aam sa! Uski infradiyat main hi to uski genius posheeda thi. Woh aam loagon ki tarah kaisay ho sakta tha?


Jab woh ye kehta, 'main isi liay kisi ko nahi batata, kisi say share nahi karta. Kisi ko samajh nahi aati', tou woh dard say choor ho jati. Uska akela-pun saanp bun kar isko dasnay lagta. Aur phir isko apni hi kisi baa-hosh lamhay main ki gai baat bhool jati kay 'uskay ander tou aik Namrood busta hay, apnay buland aahung dawa-e khudaii kay saath'. Apnay dukhtay dil kay saath uskay akelay-pun ko sehlaatay usay kabhi khayal bhi nahi aya kay woh kaheen iss liay bhi tou dunya say share karnay say nahi katraata kay kaheen wo dunya ko samajh na aa jaey? Kaheen uska enigma solve na ho jaey? Kaheen woh bhi one of the mob na ho jaey? Magar isko ye khayal aata bhi kaisay? Bataya hay na woh zindagi ko nahi jan'ti thi!


To be Continued...


Image Courtesy: Gabriella Mirollo

1 comment: