About This Blog

Monday, February 20, 2012

Iss Basti Kay Ik Koochay Main...



If the above embedded video player doesn't work for you, try this one:





Parbat kay us par dais mein zindagi yun machalti thi jaisay shoakh pahaari jharnay... athlaati, khilkhilati, gungunati! 

Parbat ki bulandioon par basayra karti barf ki haakmiyat ko bus issi ik dais ki garamjoshi challenge karti thi; musalsal na khatum honay walla challenge! 

Har roaz aankhain moonday angraiyaan laita susst sa sooraj rooee kay gaaloon kay beech se us gahazbnaak malkaa ko daikhta, jiska sard-tar mizaaj us dais ki naqabal-e shikast baghawat par aag-bagoola hoay jata.


...

Nafrat ki ye aag itni pheli kay parbat ki bulandiooon se us sard-ro hakim ne us garm-khoo dais ko mitanay kay liay miti main milna gawara kar liya! 

Aik sailaab aya, aur basti ko baha kar le gaya ... 

Duur. Bohat duur. Nigah kay haq se bhi paray...


Basti, khaak nasheenoN ki thi. So, wo mitti main mitti ho gai.

Masla tou us sard saltanat ka hai...

Us sar-e pur-ghuroor ka jo mitti ko mitti main mila denay kay liay pani main beh gaya!


Ab kuch nahi jo parbat ki bulandioon par basayra karti us barf ki haakmiyat ko challenge karta ho. Laikin naajanay kion apnay seenay ki barfeeli khunki kay bawajood, us ka dil thunda kion nahi ho raha...



Ab hota koi Kabeer ka rung, tou raavi us hukmaraan ki fatah ka qisa likhta,

"bhala hoa mori matki phooti re..."


Lekin, ab, raavi us shoakh ahang dais ki mitti main mili zindagi ko dekhay ga aur iss shikast par sirf ye likhay ga...


"*Chal Khusro ghar aapnay, saanjh bheyo chahu des"




*Let's, O Khusru, head home now. The dusk settles all across now.



No comments: