About This Blog

Sunday, April 29, 2012

Aakhri Notice


Aakhri Notice aik aisee kahani ka unwaan hai, jo aj say das bars pehlay 'zehr-e bay-taryaaq' kay naam say shurroo hoi thi.
Ye aik ajeeb kahani hai. Iss main koi hero, heroine nahi hai. Iss main kisi perfect love story ko barbaad karta koi villain bhi nahi hai. Ap soach rahay hon gay phir iss kahani main kia khaas baat hai? Phir iss main kahani kia hai? Ap ki hairat bhi baja hai... Lekin jo baat apko samjhni hai, aur iss kahani kay kirdaaron ko bhi; wo yeh hai kay jo kahani zehr say shuroo ho, wo amrat par tou khatum nahi hoti na! 
Kaun bachta hai, kaun jeeta hai, dekhi jaey gi sab Aakhri Notice kay baad!

Abida Parveen meray liay kisi alien world ki awaz thi. Never appealing, never charming. Sufism meray liay bay rah'rawon ka likeable costume tha. Khusro could very well be just another idle musician with no better claim to fame. Farsi ka jadoo sir charh kay bolta hai, mujhay idraak na tha.  Frank Sinatra maray hoay baabon ki pasand hai, mujhay yaqeen tha. Dard, soaz, ishq ki dain kionkar ho saktay hain, meri samjh say, aur interest say bala'tar tha... par phir ... 

Bhar ke zehr pyala main te aapay peeta!

Ap jaantay hain phir kia hoa? Nahi jaantay? ...

Tan rabaab, mun ki giri,
Sau ragain, bhaio sab taar
Yeh rom rom surdes hai, so bajet naam tehaar!



Aur ab jab har rag-e jaan main gundha double helical DNA structure, uss zehr-e bay taryaaq main tar-batar ho chuka hai, tou ab kaghaz kay purzay mujhay khabr detay hain rukhsat-e kaafla-e shauq ki tayaari ka!

Ishq-e majaazi, ishq-e haqeeqi tak na lay jaey, tou mehaz daam-e hawwas hota hai. Par iska kia kiya jaey jab ishq-e haqeeqi tak lay janay wala ishq maa'toob-e gumaan ho jaey? Zaat kay har har reshay say lipti ap uss amr-bail ko kesay ye keh saktay hain kay 'bus bhai, bohat ho chuka! Ab peechay hato aakhri notice aa gaya hai!' Nahi keh saktay na? Amr-bailain kahan sunti hain? Wo tou bus phelti jati hain, barhti jati hain... seenay kay beech main apni jaRain pewast kati, agay hi agay chalti jati hain!


Kabhi kabhi meray seenay main bohat zoar se tees uthti hai, kay kaash itni tahi-daman na hoti, tou soaz-e mohabbat ki koi chingari main bhi sulga paati. Kahin meray naam ka diya bhi jalta kisi mazaar-e ulfat par! Lekin shayed Qudrat kay dain kay apnay pemaanay hain. 


Sach bataon, tou ye sab ilfaaz utnay hi bay masraf hain, jitnay pichlay das saal. Jitna wo aik yellow smiley wala card... jitna zehr-e bay-taryaaq ka mussawada. Jitni wo kaalay wrapper wali bon-bon toffee.


Bus aik sense of urgency hai. Kionkay ab khayaal kay dosh par honay wala zikr bhi baar-e gunah liay hoay ho ga.


I, hereby, surrender it all.


In safhon main rachi basi, Abida ki har taan main goonjti, farsi kay har shaer say phooTti, Khusro ki har kaafi say lipti, sufism ki aanch main sulagti, har mohabbat ki hikayat bay-unwaan hai. Uska koi naam nahi. Uska koi mukhatib nahi.



Ye Aakhri Notice hai.

Aur aakhri izhaar-e mohabbat bhi.




Lo hum nay daman jhaar diya, lo jaam ultaey detay hain!



2 comments:

Tuba said...

I dont usually comment on blogs, but after reading this..just sending lots of love your way. :) Jeeti rahiye Leenah aap. :)

Unknown said...

This is a mind bending confession of a person oozing with love and tenderness.
You're already spreading so much love around you, dost. Stay blessed forever and every.