About This Blog

Tuesday, April 10, 2012

Pi Kar Bhi Kahan Jana!




Last night I came across a verse shared at twitter, that belonged to the following track. 

Raat se subh ho gai, ye kaif-e mastaaN khatum ho kay na dia! :)

This is the very track from where I had joined the fan club of this phenomenon they call Abida!


Abida Parveen's vocals rendering a Superb kalaam, supported by western instruments in a hybrid composition.




Main naara-e-mastana,  main shouqi- e- rindana
Main tashna kahan jaaon, pi kar bhi kahan jana


Main souz-e-mohabbat hoon, main aik qayamat hoon
Main ashk-e-nadaamat hoon, main gohar-e-yakdana


Main tahir-e-laahooti, main johar-e-malkooti
Nasoot ne kab mujh ko is haal mein pehchana


Main shamm-e- farozaan hoon, main aatish-e-larzaan hoon
Main sozish-e-hijraan hoon, main manzil-e-parwana


Kis yaad ka sehra hoon, kis chashm ka darya hoon
Khud toor ka jalwa hoon, hai shakl qalbhana


Main husn-e-mujassim hoon, main gesu-e-barham hoon
Main phool hoon shabnam hoon, main jalwa-e-janana


Main wasif-e-bismil hoon, main ronaq-e-mehfil hoon
Ik toota howa dil hoon, main shehar mein veerana



2 comments:

shadab akbar chisti said...

love it .in simple term just love it..

leenah. said...

Same here.