About This Blog

Sunday, March 13, 2011

Kat Hi Gai ...

Of Adeem's bests:


Hota Raha Muqabla Paani Ka Aur Piyaas Ka
Sehra Umad Umad Paray Darya Bipher Bipher Gaye



Koi Kinar-e-Aab-e-Joo Betha Hua Hay Sir'Nigoon
Kashti Kidhar Chali Gai Janay Kidher Bhanwar Gaye



Aab-e-Muheet-e-Ishq Ka Beher Ajeeb Beher Hay
Tairay To Gharq Ho Gaye Doobay To Paar Utar Gaye

Itne Qareeb Ho Gaye Itne Raqeeb Ho Gaye
Woh Bhi Adeem Dar Gaya Hum Bhi Adeem Dar Gaye



(Adeem Hashmi)

3 comments:

  1. tu dariya hai ke jiska koi saahil hi nahin
    main safeene ke tarah doob gaya hoon tujhme

    paas itna ke tere saans se takrati hain saans
    door itna ke tujhe dhonndh raha hoon tujhme

    ReplyDelete
  2. lovely. whose verse is this?

    There two more couplets of Adeem's this ghazal,


    Kat Hi Gai Judai Bhi Kab Ye Hua Ke Mar Gaye
    Tere Bhi Din Guzar Gaye Mere Bhi Din Guzar Gaye

    Tu Bhi Kuch Aur Aur Hey Hum Bhi Kuch Aur Aur Hain
    Janay Wo Tu Kidhar Gaya Janay Wo Hum Kidhar Gaye

    ReplyDelete
  3. Shamim, most often recites in tarannum

    http://www.youtube.com/watch?v=0VZkcFCaYkU

    there are more of his on the tube.

    ReplyDelete

Your words do some beautiful talking...