About This Blog

Showing posts with label Ibn e Insha. Show all posts
Showing posts with label Ibn e Insha. Show all posts

Thursday, April 5, 2012

Aj Ki Raat, Aur Uska Chaand, Insha Kay Sath




Sham samay aik oonchi seehriyon walay ghar kay angan main
Chaand ko utaray daikha hum nay, chaand bhi kaisa? Poora chaand

Insha jee in chahnay wali, daikhnay wali ankhoon nay
Mulkon mulkon, shehron shehron, kaisa kaisa daikha chaand

Har aik chaand ki apni dhuj thi, har aik chaand ka apna roop
Lekin aisa roshan roshan, hansta baatain karta chaand?

Dard ke Tees tu uth'ti thi, par itni bhi, bharpoor kabhi?
Aaj say pehlay kab utra tha dil main itna gehra chaand!

Hum nay tu kismat kay dar say jab paye andhayaray paye
Yeh bhi chaand ka sapna ho ga, kaisa chaand, kahaan ka chaand?

Insha jee dunya walon main bay-saathi, bay-dost rahay
Jaisay taaron kay jhurmat main tanha chaand, akela chaand

In ka daman iss doulat say khaali ka khaali hi raha
Warna tha dunya main kitnay chaandi chaand aur sona chaand

Jug kay charon koat main ghooma, selaani hayraan howa
Iss basti kay iss koochay kay iss angan main aisa chaand?

Ankhoon main bhi, chitwan main bhi, chaand hi chaand jhalaktay hain
Chaand hi teeka, chaand hi jhoomar, chehra chaand aur maatha chaand

Aik yeh chaand nagar ka baasi jis say door raha sunjoag
Warna iss dunya main sab nay chaha chaand aur paya chaand


Anbar nay dharti par phaikee noor ki cheent, udaas udaas
Aaj ki shab tu andhi shab thi, aaj kidhar say nikla chaand?

Insha jee yeh aur nagar hai, iss basti ke reet yehi hai
Sab ki apni apni ankhain, sab ka apna apna chaand

Apnay seenay kay mat'la par jo chamka woh chaand howa
Jis nay man kay andhyaaray mein aan kiya uj'yaara, chaand

Chanchal muskaati muskaati gori ka mukhra, mehtaab
Patt jhar kay paiRoon main at'ka, peela sa ik patta chaand

Dukh ka darya, sukh ka sagar iss kay dam say daikh liye
Hum ko apnay saath he lay kar dooba aur ubhra chaand

Jhuki jhuki palkoon kay neechay numnaaki ka naam na tha!
Yeh kanta jo humain chubha hai, kaash tujhay bhi chubhta chaand

Roshniyoon ki peeli kirchain, poorab pacham phail gaeen
Tu nay kis shay kay dhookay main, pathar pay day tapka chaand?

Hum nay tou dono ko daikha, dono hi bay-dard, kathoar!
Dharti wala, anbar wala, pehla chaand aur dooja chaand!

Chaand kisi ka ho nahi sakta, chaand kisi ka hota hai?
Chaand ki khatir zid nahi kartay, aye meray achay Insha chaand!

Ibn-e-Insha

Thursday, November 3, 2011

Aisa Ho?




Dil ishq main bey-payaan, sauda ho tou aisa ho, 
Darya ho tou aisa ho, sehraa ho tou aisa ho 

Ham sey nahin rishta bhi, Ham se nahin miltaa bhi, 
Hai paas vo betha bhi, dhoka ho tou aisa ho

Woh bhi raha begana, ham nay bhi na pehchana, 
Haan ay dil-e deewana, apna ho tou aisa ho! 

Ham ne yahi maanga tha, Uss ne yahi bakhsha hai, 
Banda ho tou aisa ho, daata ho tou aisa ho 

Iss daur main kya kya hai, rusvaai bhi lazzat bhi, 
Kaanta ho tou aisa ho, chubhta ho tou aisa ho

Ay Qais-e-janoon paisha Insha ko kabhi dekha? 
Vahshi ho tu aisa , rusvaa ho tu aisa ho!

Dil ishq main bey-payaan, sauda ho tou aisa ho, 
Darya ho tou aisa ho, sehraa ho tou aisa ho


Wednesday, January 12, 2011

Insha Says ..






Band aankhain hoi jaati hain, pisaarain paoon
Neend see neend! humain ab na uthana logo
Aik hi shab hai, taveel, itni taveel, itni taveel
Apnay ayyaam mein amroz na farda logo
Ab koi aye tou kehna kay, musafir tou gaya
Yeah bhi kehna keh, bhala ab bhi na jata logo


Ibn e Insha

Sunday, November 21, 2010

Hum Kya Jaanain


If there is one word one may define Ibn e Insha with, its: AMAZING.

He takes you along, to the bonfire at the end of his journey and reflects on that journey that never ceases to seem all too familiar. It is either your own journey, or of someone you may have known. The familiarity, the resemblance is striking! 


And at the end of it, you just wonder at his canniness at being a witness to it.



Insha Ji Bohat Din Beet Chukay


insha ji bohat din beet chukay
tum tanha thay, tum tanha ho
yeh jog bajoog tu theek nahi
yeh rog kissi ka acha ho?

kabhi poorab main, kabhi pacham main
tum purwa ho, tum pachwa ho?
jo nagri nagri bhatkay
aya bhi na mun mein kanta ho

kya aur sabhi choonchaal yahaan ?
kya aik tumhi yahaan dukhiya ho
kya aik tumhi par dhoop kaRee
jab sab par sukh ka saya ho

tum kis jungal kay phool miyaan
tum kis baghiyaa kay bayla ho?
tum kis sagar ki lehar bhala
tum kis badal ki barkha ho?

tum kis ponam ka ujyaara
kis andhi raeen ki oosha ho
tum kin hathoon ki mehndi ho
tum kis mathay ka teeka ho

kyon shehar taja, kyon jog liya
kyon wehshi ho, kyon ruswa ho
hum jab daikhain behroop naya
hum kya jaanain tum kya kya ho?

jab sooraj doobay sanjh bhaye
aur phail raha andhyara ho
kisi saaz ki lay par jhan'an jhan'an
kisi geet ka mukhra jaga ho

iss taal pay naachay pairoon main
aik chup chup behti nadiya ho
ho chaaron koot sugandh basi
jeevan jangal pehna gajra ho

yeh ambar kay mukh ka anchal ho
iss anchal ka rung ooda ho
ik gooT ro'pehlay taroon ki
aur beech sunehra chanda ho

iss sundar sheetal shaant samay
haan bolo bolo phir kya ho ?
woh jis ka milna na mumkin
woh mil jaye tu kaisa ho?

kyon aisay sapnay daikhtay ho
insha ji tum aap bhi sapna ho
ik beetain likhtay shayar ho
ik geet ugalti beena ho

yeh battain mun main woh sochay
jo kya batla'ein kaisa ho?
woh jis kay hath mein kismat ki
aik lambi gehri raikha ho

woh shakhas puranay qisoon ka
ik mud'mata shehzada ho
jo shehar ka rasta bhoola ho
aur jungal mein aa nikla ho

woh raja kaashi nagri ka
woh wali'e bulkh o bukhara ho
kuch uss kay taj pay kalghee ho
kuch uss ka chand sa chehra ho

woh malik mehal ataariyon ka
woh ruppey sonay wala ho
ya koye anookha gunn wala
woh jiss ka jug mein charcha ho
ya koyee sajeela banjara
jo nagri nagri ghooma ho

hum nagri nagri ghoomay tu
jab niklay thay awara ho
woh London ho, woh Paris ho
woh Berlin ho, woh Roma ho
woh Kabul ho, woh Lanka ho
woh sahil seen o rayan ho
ya sahil e neel o dajla ho
woh jeen ka daish washaal kaheen
ya pucham dais Amrica ho
woh chotti Fuji yama ki
ya Ulpus ka barpad ooncha ho
woh chattain gulabi laydan ki
ya neela aab Geneva ho
din Istanbul ki galiyon mein
ya sab ki sair praha ho

kuch sooratain theen, kuch mooratain theen
kuch aur bhi shaid daikha ho
jahaan nazrain thehri thutki hoon
jahaan dil ka kaanta atka ho

par hum ko tu kuch yaad nahi
kuch khoya ho, kuch paya ho
in batoon main, in ghatoon main
sajoog ka koi lamha ho

hum apnay jo khud aap nahi
phir bolo kaun humara ho
yun samjho shehar saraye main
shab bhar kay liye koi utra ho

koi pardaisi, koi saylaani
woh jis ka door thikana ho
shaam aye, sawairay koch kiya
jab dhundhla dhundla rasta ho
jab dharti sooni sooni ho
jab ambar pheeka pheeka ho
aik alam tha, kya alam tha
woh sacha ho, ya jhoota ho

hum apnay aap main doob gaye
khud pathar ban, khud darya ho
jeevan ghaas ka tinka jungle
jeevan aandhi main koi pata ho

hum kis say kahain, kis taur kahain
koi baat humari samjha ho!
hum uss say millain jo apna ho
hum uss say kahain jo hum sa ho

jab yeh bhi nahi, jab woh bhi nahi
kya baat banay, kya rasta ho
iss zindaan main koi rozan ho
iss gunbad main darwaza ho

ay jogi, ay darwaish qavi
kion umar ganwaye ramta ho
kion tun pay rakh bhaboot malay
tu gorakh naat ka cheela ho

yeh poorab pucham kuch bhi nahi
yeh joog bajoog bhi dhooka ho
jo tujh say juda sab maya hai
ya apnay ko gar pana ho

kion aur pay jee ko rujhaata hai
yeh peet ki reet tu phanda ho
jo hara jaan say haar gaya
jo jeeta woh bhi ruswa ho

dhooni na rama, basram na kar
bus alakh jaga kar chalta ho
tu apna reh, tu apna ban
tu insha hai, tu insha ho

Sunday, June 6, 2010

Ye baatain jhooti baatain hain





Ibne Insha has been my first introduction to literature - an all time most favourite poet, not only for his unmistakable canny-ness with words to explain the complexities of human heart but also for the enviable deftness with which he did so; One can always count on the tenderness in his verse to pluck at the heart strings like the fingers of a trained violinist. His solitude drenched in passion, and innocence peeping through that longing cascaded as just another perplexity, do little but to endear him to any dreamer. Insha's poise and spontaneity is yet to find any rival, for he truly is a master of flow.

Ye Baatain Jhooti Baatain Hain, is a lovely gem by the great poet and bears his same signature: ease and sensitivity. 





yeh batain jhooti batain hain, yeh logon nay phelai hain 
tum insha ji ka naam na lo, kia insha ji saudaaii hain??? 


These words are untrue tales, all rumoured by the folks
Why name the sweet Insha, nay you find him sane?


hain lakhoon rog zamanay main, kion ishq hai ruswa baychara 
hain aur bhi wajhain wehshat ki, insan ko rakhti dukhiara
haan baykal baykal rehta hai, ho peet main jis nay jii hara 
per shaam say lay kar subh talak yoon kon phiray ga awaara??? 
yeh batain jhooti batain hain, yeh logon nay phelai hain 
tum insha ji ka naam na lo, kia insha ji saudaaii hain??? 


With hundreds of plagues widespread, why blame the stricken love alone
Anguish could have many names, that stack the ache borne
True restless strays the one, whose heart burnt by the flame of love
If not him, who would fritter away, from sun down till dawn?
These words are untrue tales, all rumoured by the folks,
Why name the sweet Insha, nay you find him sane?


yeh baat ajeeb sunatay ho, wo duniya say bay aass huay
ik naam suna aur ghash khaya, ik zikr pay aap udaass huay
wo ilm main aflatoon sunay, wo sher main tulsi daas huay
wo tees baras kay hotay hain, wo B.A. M.A. paas huay
yeh batain jhooti batain hain, yeh logon nay phelai hain 
tum insha ji ka naam na lo, kia insha ji saudaaii hain??? 


What you tell is so strange, he has lost the hope to pursue
That one name and he turns cold, one mention and he goes blue
A Plato of knowledge, a giant of arts
30 seasons has he seen, with feathers in his cap
These words are untrue tales, all rumoured by the folks
Why name the sweet Insha, nay you find him sane?


gar ishq kia hai tab kia hai? kion shaad nahi abaad nahi?
jo jaan liay bin tal na sakay, yeh aisi bhi uftaad nahi
yay baat tu tum bhi mano gay, wo Qais nahi Farhaad nahi
kia hijr ka daro mushkil hai? kia visl kay nuskhay yaad nahi???
yeh batain jhooti batain hain, yeh logon nay phelai hain 
tum insha ji ka naam na lo, kia insha ji saudaaii hain??? 

What's wrong if he did love? Why is there joy and bliss naught?
That only seeks to knock off, this could be such havoc naught!
This you too won't question, some Qais or Farhaad he is naught
Is parting a hard brew? Are there concoctions of union naught?
These words are untrue tales, all rumoured by the folks
Why name the sweet Insha, nay you find him sane?

jo hum se kaho hum kartay hain, kia insha ko samjhana hai???
uss larki se bhi keh len gay, goh ab kuch aur zamana hai
ya chorain, ya takmeel karain, ye ishq hai ya afsaana hai???
ye kaisa gorakh dhanda, hai ye kaisa tana bana hai???
ye batain kaisi batain hain, jo logon nay phelai hain???
tum insha ji ka naam na lo, kia insha ji saudaaii hain???


Can do what you ask, is sweet Insha to be clued in?
May even ask that damsel, though the times are same naught
To yield, or to conclude, if this is some flame and a tale naught?
An enigma it seems, a maze so tangled!
These words are untrue tales, all rumoured by the folks
Why name the sweet Insha, nay you find him sane?



Image Courtesy: Paklinks.com