About This Blog

Thursday, April 5, 2012

Aj Ki Raat, Aur Uska Chaand, Insha Kay Sath




Sham samay aik oonchi seehriyon walay ghar kay angan main
Chaand ko utaray daikha hum nay, chaand bhi kaisa? Poora chaand

Insha jee in chahnay wali, daikhnay wali ankhoon nay
Mulkon mulkon, shehron shehron, kaisa kaisa daikha chaand

Har aik chaand ki apni dhuj thi, har aik chaand ka apna roop
Lekin aisa roshan roshan, hansta baatain karta chaand?

Dard ke Tees tu uth'ti thi, par itni bhi, bharpoor kabhi?
Aaj say pehlay kab utra tha dil main itna gehra chaand!

Hum nay tu kismat kay dar say jab paye andhayaray paye
Yeh bhi chaand ka sapna ho ga, kaisa chaand, kahaan ka chaand?

Insha jee dunya walon main bay-saathi, bay-dost rahay
Jaisay taaron kay jhurmat main tanha chaand, akela chaand

In ka daman iss doulat say khaali ka khaali hi raha
Warna tha dunya main kitnay chaandi chaand aur sona chaand

Jug kay charon koat main ghooma, selaani hayraan howa
Iss basti kay iss koochay kay iss angan main aisa chaand?

Ankhoon main bhi, chitwan main bhi, chaand hi chaand jhalaktay hain
Chaand hi teeka, chaand hi jhoomar, chehra chaand aur maatha chaand

Aik yeh chaand nagar ka baasi jis say door raha sunjoag
Warna iss dunya main sab nay chaha chaand aur paya chaand


Anbar nay dharti par phaikee noor ki cheent, udaas udaas
Aaj ki shab tu andhi shab thi, aaj kidhar say nikla chaand?

Insha jee yeh aur nagar hai, iss basti ke reet yehi hai
Sab ki apni apni ankhain, sab ka apna apna chaand

Apnay seenay kay mat'la par jo chamka woh chaand howa
Jis nay man kay andhyaaray mein aan kiya uj'yaara, chaand

Chanchal muskaati muskaati gori ka mukhra, mehtaab
Patt jhar kay paiRoon main at'ka, peela sa ik patta chaand

Dukh ka darya, sukh ka sagar iss kay dam say daikh liye
Hum ko apnay saath he lay kar dooba aur ubhra chaand

Jhuki jhuki palkoon kay neechay numnaaki ka naam na tha!
Yeh kanta jo humain chubha hai, kaash tujhay bhi chubhta chaand

Roshniyoon ki peeli kirchain, poorab pacham phail gaeen
Tu nay kis shay kay dhookay main, pathar pay day tapka chaand?

Hum nay tou dono ko daikha, dono hi bay-dard, kathoar!
Dharti wala, anbar wala, pehla chaand aur dooja chaand!

Chaand kisi ka ho nahi sakta, chaand kisi ka hota hai?
Chaand ki khatir zid nahi kartay, aye meray achay Insha chaand!

Ibn-e-Insha

No comments: