Aik bazurg thay jo har jumay-raat ko bazar jatay thay. Mashhoor tareen kothay par ja kar, wahan ki shoala-jawala ka intekhaab kartay thay.
Khabar shehar main phelnay lagi, tou mureedon ko bhi tashweesh hoi. Kuch ne sunn gunn lenay ka irada kia, apas main bahmi mashawaret se te ye paya kay aik mureed agli jumayraat ko Sheikh ji pe nazr rakhay ga. So saheb, jumayraat aee, dars ki mehfil khatum hoi tou sheikh sahab ne dastaar sambhali aur niklay bahir ko.
Peechay peechay sharmindagi main gharq hota bechara aik mureed. Sheikh saheb k liay tou rasta shayed meel bhar ka tha lekin Mureed becharay ki zindagi bhar ki aqeedat lutt gai iss safr main!
Khuda Khuda kar kay wo bazaar pohanchay. Kothay par Sheikh saheb ko hathon hath lia gaya. Mureed chehra aur gharqshuda emaan chuppaey peechay dabka raha.
Maloom hoa kay Sheikh saheb ne raat bhar k liay waheen qayyaam karna hai. Ab ye nai museebat! Aakhir kuch koshish k baad Mureed ko un kay kamray ka pata tu chal gaya, magr ab sawal ye peda hoa kay dekhnay ko hai kia?
Aqeedat aur eemaan tou us becharay ka pehlay hi doob chuka tha, ab ander jhaank kar aankhon ki sharam se bhi jata!
Wapis loatnay ko tha kay khayal aya kay aik baar jhaank zaroor lena chahiay. 'Kia pata Sheikh saheb ki mujh par nazr par jaey, aur aj ki raat wo iss gunah se bach jaen.' Bus yehi soach uskay pairon ki zanjeer bun gai.
Mohabbat kitni zalim cheez hai na :) na-ummed nahi honay deti!
Acha khair, kahani kahan tak pohanchi thi?
Mureed bazurg ka peecha kartay kartay us kamray tak ja pohancha tha jahan bazurg khareedi gai khalwat main aik khatoon kay sath thay.
'Modesty be damned', yaqeenun Mureed ne socha ho ga.
Ab jo manzar us kay samnay tha, us se uskay rongtay kharay ho gaey.
Sheikh aur wo larki pehlo ba pehlo juray bethay thay, is tarah kay larki kay ghair malfoof badn aur sheikh sahab kay darmayan se hawa ka guzar tak mumkin na tha.
'Illahi, ye din bhi dekhna tha' Mureed ki aankhain bhar aeen.
Uska dil, Maulana, mazhab, aur mohabbat, sab se yukbaargi uth gaya!
'Hunh! ye hai haqeeqat! do kori ki tawaaif kay qadoom main apni bazurgi ka imama rakh dia hai!' us ne bari karwahat se socha!
Aray, magr, Sheikh sahab tou abhi tak mastoor thay! Mureed tootay dil kay sath phir se darwazay ki darz se jurra.
Sheikh sahab na sirf mastoor thay, balkay larki kay sath sath wo bhi bay-his-o-harkat thay.
'Ye kia tamasha hai?' Mureed ki nigah ne phir un dono ka pushtt se bharpoor jaiza lia. Larki malboos na thi, lekin Sheikh sahab mukammal mastoor thay. Waqaee, wahan kuch harkat na thi.
Achanak dekhtay hi dekhtay, Sheikh sahab kay badn main larzish si hoi. Aur Mureed ne dekha kay wo yakayuk bijli ki si taizee kay sath chhalaang laga kar uthay aur qibla roo lapkay. "Allah o akbar" ki awaz aee, aur wo mehv-e namaz ho gaey ....
Mureed phatti phatti ankhon se dekhta reh gaya.
Ye kia hoa? Ye kia tha? Ye kion tha?
Iss main se kisi bhi cheez ka jawab uskay paas na tha.
Uskay pass tou ab kuch bhi nahi tha. Na aqeedat, na ehtaraam, na mazboot yaqeen. Na andhi mohabbat.
:) Becharay ki aql lay doobi usay ....
Sheikh sahab fajr tak laraztay badn kay saath masroof e ibadat rahay. Larki unki namaz shuroo karnay par malboos ho kar sonay lait gai thi.
Kis ki raat sohbat main guzri; kis ki mehroomi main, kaun jaanta hai?
Haan ye raaz zaroor khul gaya kay Sheikh sahab apni battery ko sulf kesay detay hain. Lekin is raaz ne Mureed becharay ka tamaam safr khotta kar dia!
6 comments:
Wonderful read. I could actually see everything you wrote :) :) :) Good work.
ha ha ha ,,,,,,,,, too good. Yaqinan mureed official top-ups aur bonuses sey mehroom ho gaya :)))
Thank you for your kind words @myfrequentranting :)
And a warm welcome at the blog!
@eifdee, mohabbat main shak aur phir sharmindagi ka paywand lag jana, bonus se mehroom honay say zayada bara nuqsan hai...
Mala kahy hai kaath ki, tu ku pheray moye!
Mun ka Manka pher de so turat mila dun toye !
Mushkil rasta hai, qadam qadam par khaiyun main girnay ka imkaan rehta hai. Bs Sir jhuka kay chaltay raho
Post a Comment