About This Blog

Saturday, January 26, 2013

Sheeshon Ka Maseeha Koi Nahin




Moti ho kay sheesha, jaam, kay dur
jo toot gaya so toot gaya
Kab ashkon se jurd sakta hai
jo toot gaya, so chhoot gaya

Tum na-haq sheeshay chun chun kar
daaman mein chhupaye baithey ho
Sheeshon ka maseeha koi nahin
kya aas lagaye baithey ho

Shayad kay inhi tukrdon mein kahin
wo sagar-e-dil hai, jis mein kabhi
Sud naaz se utra karti thi
Sahba-e-gham-e-jaanaan ki pari

Phir duniya walon ne tum se
Ye sagar le kar phod diya
Jo maye thi baha di mitti mein
Mehmaan ka shah par tod diya

Ye rangeen rezay hain shayed
un shokh biloori sapnon kay
Tum mast jawani mein jin se
Khalwat ko sajaya kartey thay

naadaari, dafter, bhookh aur gham
un sapnon se takratey rahay
be-reham tha chau-mukh pathraav
yeh kaanch kay dhanchey kia kartey?

Ya shayad in zarron mein kahin
moti hai tumhari izzat ka
woh jiss se tumharey ijz pe bhi
shamshad qadon nay rashk kia

is maal ki dhun mein phirtey thay
tajer bhi bohat rehzun bhi kaee
ai chor-nagar ya muflis ki
gar jaan bachi to aan gai

ye sagar sheeshe, laal-o-guhar
saalim hon to qeemat paate hain
yun tukrde tukrde hon to faqat
chubhte hain, lahoo rulwaate hain

yaadon ke girebaanon ke rafoo
par dil ki guzar kab hoti hai ?
ik bakhiya udheyrda, ek siya
yun umr basar kab hoti hai ?

is kaar-gahey hasti mein jahan
ye sagar sheeshay dhaltey hein
har shaey ka badal mil sakta hai
sab daaman pur ho saktey hein

Jo haath bardhey yawar hai yahan
jo aankh uthhey woh bakhtawar
yaan dhan daulat ka ant nahin
hon ghaat mein daaku lakh magar

kab loot jhapat se hasti ki
dukaanein khaali hoti hein
yaan parbat parbat heerey hein
yaan saagar saagar moti hein

Kuch log hein jo is daulat par
Pardey latkatey phirtay hein
Har parbet ko, har saagar ko
Neelam chardhaatey phirtey hein

Kuchh woh bhi hein jo laRh bhiRd kar
ye pardey noch giraatay hein
Hasti kay utthai giron ki
har chaal uljhaaye jatey hein

In donon mein run pardta hai
Nit basti basti, nagar nagar
Har basti ghar ke seene mein
Har chalti rah ke maathe par

Ye kalak bhartey phirte hein
Woh jot jagate rehte hein
Ye aag lagatey phirtey hein
Woh aag bujhatay rehtey hein

Sab saagar sheeshay laal o guhar
is baazi mein bid jaate hein
Uttho sab khaali haathon ko
us run se bulaway aate hein




is kaar-gahey hasti mein jahan
ye sagar sheeshay dhaltey hein
har shaey ka badal mil sakta hai
sab daaman pur ho saktey hein :)

Thursday, January 24, 2013

My Letters To You



Light is more important than the lantern,

The poem more important than the notebook,
And the kiss more important than the lips.
My letters to you
Are greater and more important than both of us.
They are the only documents
Where people will discover
Your beauty 
And my madness.


- Nizar Qabbani


Monday, January 14, 2013

Ye, Who Choose



Tujh ko manzoor nahin ghalba-e zulmat lekin
Tujh ko manzoor hai yeh haath qalam ho jaen
Aur mashriq ki kameenN-gah main dharakta hua din
Raat ki aahni mayyat ke talay dab jaey


Translation:

Throne of murk you grudge against; yet
Yield to severe these hands,
Surrender to the dawn breathing softly in the womb of East 
Be entombed under the metal carcass of dusk


Verse: Faiz
Inapt Translation: mine.


Saturday, January 12, 2013

Quetta: That Is You, That Is Me




Bol kay lab aazaad hain teray,
Bol zabaan ab tak teri hai,
Tera sutwaan jism hai tera,
Bol kay jaan ab tak teri hai,
Dekh kay aahan-gar ki dukaan main,
Tund hain shoalay, surkh hai aahan,
Khulnay lagay qufflon kay dahaanay,
Phela har ek zanjeer ka daaman,
Bol yeh thora waqt bohat hai,
Jism-o-zabaan ki maut se pehlay,
Bol kay sach zinda hai ab tak,
Bol jo kuch kehna hai keh le

- Faiz

Tuesday, January 8, 2013

When Your Fears Are Your Practical Approach


It is then that when one comes across a dead spirit, one has to make a call if one wants to live with a ghost, or get a life! 




Happy are those who choose life. 

Sunday, January 6, 2013