Moti ho kay sheesha, jaam, kay dur
jo toot gaya so toot gaya
Kab ashkon se jurd sakta hai
jo toot gaya, so chhoot gaya
Tum na-haq sheeshay chun chun kar
daaman mein chhupaye baithey ho
Sheeshon ka maseeha koi nahin
kya aas lagaye baithey ho
Shayad kay inhi tukrdon mein kahin
wo sagar-e-dil hai, jis mein kabhi
Sud naaz se utra karti thi
Sahba-e-gham-e-jaanaan ki pari
Phir duniya walon ne tum se
Ye sagar le kar phod diya
Jo maye thi baha di mitti mein
Mehmaan ka shah par tod diya
Ye rangeen rezay hain shayed
un shokh biloori sapnon kay
Tum mast jawani mein jin se
Khalwat ko sajaya kartey thay
naadaari, dafter, bhookh aur gham
un sapnon se takratey rahay
be-reham tha chau-mukh pathraav
yeh kaanch kay dhanchey kia kartey?
Ya shayad in zarron mein kahin
moti hai tumhari izzat ka
woh jiss se tumharey ijz pe bhi
shamshad qadon nay rashk kia
is maal ki dhun mein phirtey thay
tajer bhi bohat rehzun bhi kaee
ai chor-nagar ya muflis ki
gar jaan bachi to aan gai
ye sagar sheeshe, laal-o-guhar
saalim hon to qeemat paate hain
yun tukrde tukrde hon to faqat
chubhte hain, lahoo rulwaate hain
yaadon ke girebaanon ke rafoo
par dil ki guzar kab hoti hai ?
ik bakhiya udheyrda, ek siya
yun umr basar kab hoti hai ?
is kaar-gahey hasti mein jahan
ye sagar sheeshay dhaltey hein
har shaey ka badal mil sakta hai
sab daaman pur ho saktey hein
Jo haath bardhey yawar hai yahan
jo aankh uthhey woh bakhtawar
yaan dhan daulat ka ant nahin
hon ghaat mein daaku lakh magar
kab loot jhapat se hasti ki
dukaanein khaali hoti hein
yaan parbat parbat heerey hein
yaan saagar saagar moti hein
Kuch log hein jo is daulat par
Pardey latkatey phirtay hein
Har parbet ko, har saagar ko
Neelam chardhaatey phirtey hein
Kuchh woh bhi hein jo laRh bhiRd kar
ye pardey noch giraatay hein
Hasti kay utthai giron ki
har chaal uljhaaye jatey hein
In donon mein run pardta hai
Nit basti basti, nagar nagar
Har basti ghar ke seene mein
Har chalti rah ke maathe par
Ye kalak bhartey phirte hein
Woh jot jagate rehte hein
Ye aag lagatey phirtey hein
Woh aag bujhatay rehtey hein
Sab saagar sheeshay laal o guhar
is baazi mein bid jaate hein
Uttho sab khaali haathon ko
us run se bulaway aate hein
is kaar-gahey hasti mein jahan
ye sagar sheeshay dhaltey hein
har shaey ka badal mil sakta hai
sab daaman pur ho saktey hein :)
No comments:
Post a Comment