Do din bhi agar meri si halat ho jaye
Maalom shab e gham ki haqiqat ho jaye
Bejurm o khata mujh ko mitanay walay
Allah karay tujh ko mohabbat ho jaye
Ab sabr karo nala e paiham na karo
Jab mein he nahi hoon to mera gham na karo
Yeh apni ruswai hai apne haaton
Lillah meri laash pe maatam na karo
Wo un ko mera marg e nagahan nadeeda nadeeda
Sub ke hoonton pe tabassum tha mere qatl ke baad
Jaanay kya sooch ke rota raha qaatil tanha
Wo un ko mera marg e nagahan, nadeeda nadeeda
aur jigar bey chain laikin guftugu sanjeeda sanjeeda
ajab masti bhari aankhein magar tarseeda tarseeda
sar e baali tabassum lab pe dil ranjeeda ranjeeda
manaya ja raha hai mera gham posheeda posheeda
tamasha dekhiye mayree lehad se sar nahi uth'ta
mujhe khud he mita baithe hein, aur khud he pasehmaan hein
manaya ja raha hai mera gham posheeda posheeda
yeh kab se aa gayeen tabdeeliyan khayalon mein
huzoor kab se ghareebon kay khairkhuwah howay
manaya ja raha hai mera gham posheeda posheeda
dam-e-akheer qayamat yeh dha raha hai koi
ke mout aanay ko hai, aur ja raha hai koi
mere khuda, mujhe thori si zindagi day day
udaas mere janazay se ja raha hay koi, dekho
manaya ja raha hai mera gham posheeda posheeda
sabr-o- qaraar chheena, surat dikha ke tu ne
barbad ker dia dil, dil mein sama ke tu ne
basti ujaar dali, basti basa ke tu ne
aray apna bhi dil dukhaya, mujh ko mita ke tu ne
ab, manaya ja raha hai mera gham posheeda posheeda
bohot badnaam hoga hashr mein tu naam ke badle
unhein shohrat se kya matlab, jo hein Allah ke bande
yeh niyyat chor meri bandagi, dekhein jahan walay
mazaa jab hai ke dunya per na ho zahir tere sajde
Khuda ki tu ibadat ker magar posheeda posheeda
sajdoN ka sila jannat maange
Allah se yeh ujrat maange
karta hai ibadat ka souda
zahid na hoa mazdoor hoa
bus! Khuda ki tu ibadat ker magar posheeda posheeda
kya ibadat hai teri jab ke tu yaksu he na tha
Rabb to mojood tha, ay shaikh wahaan tu he na tha
dil hai behatka hoa bekaif nazar aata hai
tu ibadat mein bhi dunya ki khabar rakhta hai
aik din Majnu ka aisa haal tha
yaad e Laila mein sarapa choor tha
khaak e sehra chhanta phirta tha wo
wahaane Laila her ghari karta tha wo
hoshiyari dekheiye deewane ki
sair karne chal dia veeranaey ki
aadmi aik parh raha tha wahan namaaz
dil mein kuch rakhta na tha sooz o gudaaz
ker raha tha wo namaz e Haq adaa
majnu us ke samnay ho ker chala
khatam ker ke phir namaaz us ne kaha
tujh ko doon is fail ki mein kya saza
aa gaya meri ibadat mein khalal
samnay se tu gaya mere nikal
bola Majnu ke mein ne Laila ki qasam dekha nahi
bola Majnu ke mein ne Laila ki qasam dekha nahi
warna samnay sajde ke mein aata nahi
bola Majnu ishq e Laila mein sarapa choor tha
aur dekhne se mein tujhe majboor tha
per tu Khuda ke samnay kaisa juhka
apni aankhon se raha tu dekhta
mujh ko to hai ishq fani zaat ka
tujh ko to hai ishq hai Maula zaat ka
kia isi ko kehte hein sooz o gudaaz
kia isi ko kehte hein sooz o gudaaz
ja namaazi dekh li teri namaaz
bus! Khuda ki tu ibadat ker magar posheeda posheed
kia isi ko kehte hein sooz o gudaaz
ja namaazi dekh li teri namaaz
khuda ki tu ibadat ker magar poshida poshida
le ke tasbeeh aur musallah aik aabid chal diya
dhoondne Allah ko sehra mein wo rehne laga
aik hiran bhi saath mein us ke wahaan rehne laga
aur usi sehra mein wo bhi dorne phirne laga
aik din zahid ne pocha yaar ye kya baat hai
arsa e muddat se tera aur mera saath hai
tujh ko bethe dekhta hoon aur na sotay dekhta
ja baja phirta hai tu aur ya ke rehta hai khara
sun ke bola yeh hiran! ta'ajub ki kya baat hai
aashiqo ke wastay kya din hai aur kya raat hai
mere andar mushk hai mein is liyeh rehta hoon mast
tere ander ishq hai tu is liyeh rehta hai mast
mushk ki khushboo se hardam doorta phirta hoon mein
apni aankhon se Khuda ko dekhta rehta hoon mein
Us se milne ka tareeqa aa tu mujh se seekh le
ishq mein hasti mita de phir tu Allah dekh le
Khuda ke waste zahid na ker numa'ishi sajde
Khuda ki tu ibadat ker magar posheeda posheeda
jahan tak ho sakay mazloom ko ronay nahi dete
aur kisi nadaar ko bhooka kabhi sonay nahi dete
bakar e pardaposhi khalq per khone nahi dete
khabar is haath ki us haath ko honay nahi dete
sakhi khairat karte hein magar posheeda posheeda
tumhare samnay betha hoa hoon sakht mushkil mein
musafir jaisay aa jata hai wehshatnak manzil mein
bayaan karte hoay darta hoon jo kuch hai mere dil mein
buri kuch aur to baatein nahi hein teri mehfil mein
magar yeh chupke chupke guftugu posheeda posheeda
aur kisi ghar ki taraf takna kabhi phir mur ke ghabrana
kaheen per chandni ko dekh ker saaye mein chupp jana
qamar aik he na kya laakhon sitaro ne na pehchana
ajab andaaz se waday pe unka raat ko aana
dabay paaon nazar behki howi posheeda posheeda
manaya ja raha hai mera gham posheeda posheeda
Poet: Ustad Qamar Jalalwi
Ja namazi, dekh li teri namaz!
No comments:
Post a Comment