About This Blog

Saturday, September 24, 2016

We're The Winners




Ye jo aadhay teetar, aadhay bataer loag hotay hain na, inka almiya pata hai kia hai?

Inki koi jarr nahi hoti. No soil owns their roots. 

Ye Rab ko talaashtay phirrtay hain, apnay jhootay sachay aqeedoN main; Apni jhooti sachi aqeedatoN main; Apnay kachay pakkay iqraar o inkaar main; Apnay adhooray muaamlaat main; Apnay reya-kaar ikhlaas main. 

In jaisay adh aashiq, adh munafiq loagon ki tragedy ye hai kay apni mehroomi ka idraak nahi. Apni tahi-daamni ki na khatam honay wali siyaahi jab inhain qatra qatra nigal rahi hoti hai, tou ye kaheen na kaheen koi aisa roag paalnay ki koshish kartay hain jisay apni naik niyyati ki justification bana sakain, Fi sabeel lillah ka tag laga kar khud ko surkh roo kar sakain. Khuda ko remind karwa sakain kay, hum Teray hain. 

Second hand mohabbat ki statement hai inki poori kithha.

Phir kisi kisi din, Fi sabeel lillah ka marked roag ka balloon suddenly blows up in their face. Achanak apni hi reya-kaar, badbudaar saans ki humak soonghnay ko milti hai aur ghin aa jati hai. Apni gharz say, apnay dhong say. Khud say. 




Hum jaisoN ki koi jarr nahi hoti. No soil owns our roots. 

Hamari na dunya hai, na deen. We're the winners of the game of loss. 




No comments: