Samay to beet hi jata hai,
Baat to us beet’tay samay ki dore main lipti,
kaanch ki goli ki hai
Jiski dhanak ki aanch
kabhi hath ati hai,
aur kabhi nahi
kabhi kabhi yun bhi to hota hai na,
kay waqt chaltay chaltay bhi
kuch yun tham sa jata hai,
jaisay jaith kay dinon ki purwa
hatheli mein dore paseenay say
chipak kar reh jati hai
maloom hi nahi parta kay
bheegi hoi is hatheli mein,
kuch unmol rung
dehak rahay hain;
khayal jo dore ka nahi,
uss sans band kartay hoay
habas zada samay ka hota hai;
kaanch ki woh rangeen goli,
samay beet janay kay baad hi
yaad ati hai
Jab dore haath say phissal gai hoti hai
Jab, khuda khuda kar kay,
jaith beet gaya hota hai.
Ab kia faida?
Tum jab dore ko ungli par bal daina
To holay say, dheeray say
Jaanch laina
Aanch daiti rungon ki us shabnum ko,
apnay haath ki garmi mein
ghulnay daina
Chupkay chupkay,
beet’tay samay kay sung
un rangoon ki sabhi shokhi say
Apna mun kheera kar laina;
Dhanak apna laina;
Uski hidat chura laina;
Samay to beet hi jata hai
Par us samay ki dore mein lipti,
Kaanch ki wo goli
Haath na aee
To kia faida?
No comments:
Post a Comment