If there is one word one may define Ibn e Insha with, its: AMAZING.
He takes you along, to the bonfire at the end of his journey and reflects on that journey that never ceases to seem all too familiar. It is either your own journey, or of someone you may have known. The familiarity, the resemblance is striking!
And at the end of it, you just wonder at his canniness at being a witness to it.
Insha Ji Bohat Din Beet Chukay
insha ji bohat din beet chukay
tum tanha thay, tum tanha ho
yeh jog bajoog tu theek nahi
yeh rog kissi ka acha ho?
kabhi poorab main, kabhi pacham main
tum purwa ho, tum pachwa ho?
jo nagri nagri bhatkay
aya bhi na mun mein kanta ho
kya aur sabhi choonchaal yahaan ?
kya aik tumhi yahaan dukhiya ho
kya aik tumhi par dhoop kaRee
jab sab par sukh ka saya ho
tum kis jungal kay phool miyaan
tum kis baghiyaa kay bayla ho?
tum kis sagar ki lehar bhala
tum kis badal ki barkha ho?
tum kis ponam ka ujyaara
kis andhi raeen ki oosha ho
tum kin hathoon ki mehndi ho
tum kis mathay ka teeka ho
kyon shehar taja, kyon jog liya
kyon wehshi ho, kyon ruswa ho
hum jab daikhain behroop naya
hum kya jaanain tum kya kya ho?
jab sooraj doobay sanjh bhaye
aur phail raha andhyara ho
kisi saaz ki lay par jhan'an jhan'an
kisi geet ka mukhra jaga ho
iss taal pay naachay pairoon main
aik chup chup behti nadiya ho
ho chaaron koot sugandh basi
jeevan jangal pehna gajra ho
yeh ambar kay mukh ka anchal ho
iss anchal ka rung ooda ho
ik gooT ro'pehlay taroon ki
aur beech sunehra chanda ho
iss sundar sheetal shaant samay
haan bolo bolo phir kya ho ?
woh jis ka milna na mumkin
woh mil jaye tu kaisa ho?
kyon aisay sapnay daikhtay ho
insha ji tum aap bhi sapna ho
ik beetain likhtay shayar ho
ik geet ugalti beena ho
yeh battain mun main woh sochay
jo kya batla'ein kaisa ho?
woh jis kay hath mein kismat ki
aik lambi gehri raikha ho
woh shakhas puranay qisoon ka
ik mud'mata shehzada ho
jo shehar ka rasta bhoola ho
aur jungal mein aa nikla ho
woh raja kaashi nagri ka
woh wali'e bulkh o bukhara ho
kuch uss kay taj pay kalghee ho
kuch uss ka chand sa chehra ho
woh malik mehal ataariyon ka
woh ruppey sonay wala ho
ya koye anookha gunn wala
woh jiss ka jug mein charcha ho
ya koyee sajeela banjara
jo nagri nagri ghooma ho
hum nagri nagri ghoomay tu
jab niklay thay awara ho
woh London ho, woh Paris ho
woh Berlin ho, woh Roma ho
woh Kabul ho, woh Lanka ho
woh sahil seen o rayan ho
ya sahil e neel o dajla ho
woh jeen ka daish washaal kaheen
ya pucham dais Amrica ho
woh chotti Fuji yama ki
ya Ulpus ka barpad ooncha ho
woh chattain gulabi laydan ki
ya neela aab Geneva ho
din Istanbul ki galiyon mein
ya sab ki sair praha ho
kuch sooratain theen, kuch mooratain theen
kuch aur bhi shaid daikha ho
jahaan nazrain thehri thutki hoon
jahaan dil ka kaanta atka ho
par hum ko tu kuch yaad nahi
kuch khoya ho, kuch paya ho
in batoon main, in ghatoon main
sajoog ka koi lamha ho
hum apnay jo khud aap nahi
phir bolo kaun humara ho
yun samjho shehar saraye main
shab bhar kay liye koi utra ho
koi pardaisi, koi saylaani
woh jis ka door thikana ho
shaam aye, sawairay koch kiya
jab dhundhla dhundla rasta ho
jab dharti sooni sooni ho
jab ambar pheeka pheeka ho
aik alam tha, kya alam tha
woh sacha ho, ya jhoota ho
hum apnay aap main doob gaye
khud pathar ban, khud darya ho
jeevan ghaas ka tinka jungle
jeevan aandhi main koi pata ho
hum kis say kahain, kis taur kahain
koi baat humari samjha ho!
hum uss say millain jo apna ho
hum uss say kahain jo hum sa ho
jab yeh bhi nahi, jab woh bhi nahi
kya baat banay, kya rasta ho
iss zindaan main koi rozan ho
iss gunbad main darwaza ho
ay jogi, ay darwaish qavi
kion umar ganwaye ramta ho
kion tun pay rakh bhaboot malay
tu gorakh naat ka cheela ho
yeh poorab pucham kuch bhi nahi
yeh joog bajoog bhi dhooka ho
jo tujh say juda sab maya hai
ya apnay ko gar pana ho
kion aur pay jee ko rujhaata hai
yeh peet ki reet tu phanda ho
jo hara jaan say haar gaya
jo jeeta woh bhi ruswa ho
dhooni na rama, basram na kar
bus alakh jaga kar chalta ho
tu apna reh, tu apna ban
tu insha hai, tu insha ho