About This Blog

Saturday, April 23, 2011

Kabhi Kabhi




Dil kay daman say kabhi kabhi hook yun uth'ti hai jaisay raat bhar bharaktay alaao say subh dum dhuain ki uth'ti madham si chund lakeerain ...

jaisay khwab ki untouchable domain main hawa kay dosh par tairta, aik bay-naam wada ... a promise that can never be realized, yet stays there beaconing you - to stay alive; to keep believing.

Jaisay kisi andhay kunwain ki teh say aati sada, jaisay pataal ki gehraee say uth'ti ik longing. Sans laitee, dharaktee, kisi zinda wajood jaisee haqeeqat. But still undefinable ... still untraceable.

DNA structure kay double helix say lipti, ik na-tamaam khuahish ki amr-bail. Ragon main doartay shorish-zada sayaal main gundhi, ik kasak ....

Hota hai na kabhi kabhi aisay?
 




No comments: