Shehar ke dukandaro! Karobaar-e-ulfat mein sood kya ziaan kya hai, tum na jaan pao gay
Dil ke daam kitne hain, khuwab kitne mehnge hain, aur naqd-e-jaan kya hai, tum na jaan pao gay
Sheher ke dukandaro, sheher ke dukandaro
Koi kaisay milta hai, phool kaisay khilta hai, aankh kaisay jhukti hai, saans kaisay rukti hai
Kaisay reh nikalti hai, kaisay baatein chalti hain, shouq ki zabaan kya hai, tum na jaan pao gay
Kaisay reh nikalti hai, kaisay baatein chalti hain, shouq ki zabaan kya hai, tum na jaan pao gay
Sheher ke dukandaro, sheher ke dukandaro
Wasl ka sukoon kya hai, hijr ka junoon kya hai, husn ka fusoon kya hai, ishq ka daroon kya hai
Tum mareez-e-danai maslihat ke shaydai raah-e-gumrahan kya hai, tum na jaan pao gay
Sheher ke dukandaro, sheher ke dukandaro
Zakhm kaisay phaltay hain, daagh kaisay jaltay hain, dard kaisay hota hai, koi kaisay rota hai
Ashq kya hai naalay kya, dasht kya hai chaalay kya, aah kya fughaan kya hai, tum na jaan pao gay
Sheher ke dukandaro, sheher ke dukandaro
Namuraad dil kaisay subah shaam kartay hain, kaisay zinda rehtay hain, aur kaisay martay hain
Tum ko kab nazar aayi ghamzadoon ki tanhaee, zeest be-amaan kya hai, tum na jaan pao gay
Sheher ke dukandaro, sheher ke dukandaro
Janta hoon mein tum ko zouq-e-shaiyri bhi hai, shaksiyat sajaanay mein ik yeh mahiri bhi hai
Phir bhi harf buntay ho, sirf lafz suntay ho, in ke darmiyaan kya hai, tum na jaan pao gay
Sheher ke dukandaro, sheher ke dukandaro!
1 comment:
Beautiful words by Javed Akhtar sahab.
Post a Comment