About This Blog

Monday, September 30, 2013

Of The Shards



Un chund barson ka only real damage ye hai kay aitbaar uth gaya hai insan kay Rab kay sath ikhlaas par say.

Insan ki bisaat hi kia kay wo kisi doosray insan say mohabbat kar paey.
Khas kar dara hoa, kamzoar insan mohabbat ka bar nahi utha sakta.
Aur phir jab kay mohabbat ka dawa bhi shuro din say conditional ho ... 'haan, mujhay mohabbat hai, jab tak tumhain mujh say mohabbat hai" ... tou mohabbat bechari tou kabhi kisi ginti main aee hi nahi...


Ye tou khud kay liay aglay ki mohabbat ki acknowledgement receipt hai. Hai na?



Nuqsaan ye hoa hai kay wahid cheez jis par kisi ka takkya tha, wo uska genuine link with Allah tha.
Kisi nay socha jo banda Allah kay sath genuine ho, uski Primary root sahi hai; secondary automatically sahi hi gi, chahay execution main glitches hon.

Us waqt, har us bar jab secondary root rotten sabit hoti thi, sirf bay-yaqeeni ghairti thi ... Primary kay theek hotay hoay secondary rotten kesay hai?


Phir ahista ahista wazeefon, aanso'on, murshidoN, tasbeehoN walay logon ka modus operand samjh aya  .... :)

Par tab tak dair ho gai thi.

Bohat say loag baghair support kay nahi chal patay.
Chahay school ho, ya ghar, professional life, ya social gatherings. They need a crutch to lean on.
Raat ko darnay walay bachon kay liay baazo'on main daba teddy bear jesay.

Allah, bohat saray loagon kay liay aisee hi aik lollipop hai.

Jab aur koi crutch na mil rahi ho, tou association with Allah ko apna teddy bear bana lo!
Nahi, associate with Allah nahi hona. Association-with-Allah ka teddy bear baazo'on main dabana hai. Jesay kai loag Mont Blanc ka pen apnay pass rakhtay hain.
Its a statement of association. Bus.

Its not Association. It is merely a pronouncement of it.

Like wedding vows are for some.



Jis din ye samjh aya, saray shikway khatum ho gaey.Haan ... wazeefon, aanso'on, murshidoN, tasbeehoN par say yaqeen bhi khatam ho gaya.



No comments: