About This Blog

Tuesday, August 24, 2010

Kotah Daamani




Maa'bood say mohabbat kay liay pehlay 'abd' bann'na paRta hai. And herein lies the most difficult bit. Apnay ander kay buut-kaday ko mismaar karna paRta hai, apnay shewa-e-Aazari kay liay Ibrahim hona paRta hai.

Aur ye wasf buland bakht hi hasil kar patay hain.

Chahay janay main, ya phir unjanay main, par mujh jaisa koi bhi apnay dil kay nigaar khanay main aik buut-taraash hi hota hai. Apnay takhayul ki parchaayion ko hum mohabbat say sainchtay hain, pyar say sanwaartay hain. Apni ragon main doaRnay walay shorish zada siyaal ki surkhi ko apnay khayal aur dhayan kay saanchay main gundhay uss murakkab kay rug-o-pey main bhar daina chahtay hain ...... khud banda hi rehtay hain, par apnay ander apna hi khuda taraash laitay hain: Kabhi wo zoam-e-bartari hota hai, kabhi israar-e-khud sataee; kabhi apna jurm-e-za'eefi, kabhi apni paarsa'ee ...... phir wo khuda ji uth'ta hai. Aur hum uskay agay zameen bose ho jatay hain! 

Jinkay ander ka buut khana abaad ho, wahan bandagi darmaandgi bun jati hai. apnay khoal say bahir kuch dikhta hi nahi. Apni dunya, apna jahan, sab wasaawas kay iss sheesh mehal main aa basta hai. Apna hi aks apna khuda; maakoos banda-e-khuda!

Kia confusion hai na!

Reflection dar reflection ka gorakh dhanda! Jis main kisi Aur ka aks jhalak hi nahi pata. 
Insaan kitnay kam par settle kar jata hai? Beyond comparison kay haqeer par compromise kar jata hai! 
kia mehroomi si mehroomi hai!!!!!!!!



But then, isi dil-e-insaan ka hi johar hai kay baar-e-bandagi uhta'ta hai, sharf jo wasf-e-bandagi ka hai.  



Kaun hotay hain wo buland bakht?

kaun hotay hain wo khush khisaal?

kin kay naseeb main aboodiat say bharpoor sajday hain?

kin kay buut kaday main sehn-e-kaaba abad hai?


Zindagi beet'ti jati hai. Aur idhar banda-e-naaqis apni kotah daamani hi nahi jaanch pata!


No comments: