About This Blog

Friday, September 2, 2011

Inteha Iski Kahan Tak Hai



Khuda jane kahan se jalwaye jana kahan tak hai
Wahin tak dekh sakta hai nazar jiski jahan tak hai


Hum itni bhi na samjhe aql khoi dil gawan baithe
Ke husn o ishq ki duniya kahan se hai kahan tak hai

Zameen se aasman tak ek sannate ka aalam hai
Naheen maalum mere dil ki viraani kahaan tak hai

Zameen se aasman tak aasman se la makan tak hai
Khuda jane hamare ishq ki duniya kahan tak hai

Niyaz o naaz ki rudad husn o ishq ka qissa
Ye jo kuchh bhi hai sab unki hamari dastan tak hai

Khayal e yaar ne to aatay hi gum kar diya mujhko
Yahi hai ibteda to inteha iski kahan tak hai

Suna hai sufiyon se hamne aksar khanaqahon mein
Kay yeh rangeen bayani Bedam rangeen bayan tak hai



- Hazrat Bedam Shah Warsi

No comments: