About This Blog

Thursday, September 22, 2011

Untitled.



Khuda wo waqt na laye kay sogawar ho tu
sukoon ki neend tujhay bhi haram ho jaye
teri musarrat-e-paiham tamam ho jaye
teri hayat tujhay talkh jam ho jaye

ghamon se aina-e-dil gudaz ho tera
Hujoom-e-yas se betaab ho ke reh jaye
wafoor-e-dard se simab ho ke reh jaye
tera shabaab faqat khwaab ho ke reh jaye

ghuroor-e-husn sarapa niyaz ho tera
taweel raton main tu bhi qarar ko tarsay
teri nigah kisi gamgusar ko tarsay
khizaan raseeda tamanna bahaar ko tarse

koi jaeen na teray sang-e-astan pe jhuke
ke jins-e-ijz-o-aqidat se tujh ko shad kare
fareb-e-wada-e-farda pe aetamad kare
Khuda wo waqt na laye ke tujh ko yad aye

wo dil ke tere liye be-qarar ab bhi hai
wo ankh jis ko tera intazar ab bhi hai




No comments: