I so desired to translate the following verses, but the certainty of my limitation in maintaining the artistry of the verse of the Sachal Sarmast, while making any such attempts was too strong to not be acknowledged.
So on this cold December night, leaning back in your comfy zone let your steamy cup of coffee be accompanied by the warmth of the magic that Abida ji effortlessly weaves with her ever strong poise ....
Humain bhi Jalwagah e Naaz par lay kar chalo Musa
Tumhain ghush aa gaya tou Husn e Jaanaa kaun daikhay ga
Hairaan hua, hairaan hua, hairaan hua, hairaan hua
Is Husn pe main, hairaan hua
Dil Kis pe mera nadaan hua
Ye zulf paRi kion meray galay ye pech-ha-pech aur maar siyaah
Rukh mujhse chhupaya kion Tu nay jab Tujh pe ye dil nadaan hua
Ye Ghamza-e-Naaz ki faujkashi ae Dilbar Teri khaas ada
Kya dil pe mere jadoo hai kiya kya tan-mann sab mastaan hua
Mansoor ho ya Sarmad ho Sanam, ya Shamsulhaq Tabrezi ho
Is Teri gali mein ae Dilbar har ek ka sar qurbaan hua
Teray jalwa-e-husn se har aashiq, furqat mein jala karta hai Sanam
Is Zuhd-o- rayakaari se mera yak baar ye dil nadaan hua
Is ishq ka Teray hai dawaa miskeen Sachal ko mere Sanam
kya khoob Teri is ulfat mein miskeen se main sultaan hua
A remixed version of the same is also available
No comments:
Post a Comment