Nuktacheen hai gham-e-dil usko sunaye na banay
Kya banay baat jahan baat banaye na banay
Bojh woh sar pe gira hai ke uthaye na uthay
Kaam woh aan paRa hai ke banaye na banay
Ghair phirta hai liye yoon teray khat ko ke agr
koi poochay ke ye kia hai tou chupaey na banay
Keh sakay kaun ke yeh jalwa-giri kis ki hai
Parda choara hai jo uss nay, ke uthaey na banay
Main bhulata tou hoon usko magar ay jazbaa-e-dil
Uspay ban jaaye kuch aesi ke bin aaye na banay
Ishq par zoar nahin hai yeh woh aatish `Ghalib'
Ke lagaye na lagay aur bujhaye na banay
2 comments:
Speaking of Ghalib, on your Ye Na Thee Hamari Qismat post, there is one great voice missing. Here is Rafi Sahib singing:
http://youtu.be/g7T_8fvZjYs
Ye Na Thee Hamaaree Qismat Ke Wisaal-e-yaar Hota
Agar Aur Jeete Rehte Yahee Intezaar Hota
Tere Waade Par Jiye Hum To Ye Jaan Jhoot Jaanaa
Ke Khushee Se Mar Na Jaate Agar Eitabaar Hota...
Just breaks your heart...
:)
Much gratitude for sharing this. Indeed Rafi sahab's voice brings its own charisma to Ghalib's lone longings.
Post a Comment